Hello friends Mai aaj aapko ek gehri aur sachha batane ja Raha hu jo ki duniya ki harsh reality hai.
Sorry friend's mai aap se maafi bhi maangunga kyunki ki mai aaj sharab pi rakha hu. Lekin Haan friend's mai jab nashe mai hota hu na mai jo bhi bolta hu sab kuchh sach bolta hu aur woh really mai sach hi hote hai.
Mere dear friend's aapko ek meri Kasam ki aap yeh instagram, facebook, youtube etc. Ke shorts,reels dekhna chhod do kyunki yeh humare brain ko itna khokla bana dete hain ki aap soch bhi nahi sakte ho mai aapko manaa nahi kar raha aap Inst facebook youtube chalana chhod do chalao lekin jisse aapki grow ho skae aur aapki devlopment ho sake kyunki yeh jo platforms bhi nahi chahte ki aap life mai aage badho grow karo aur unke jo platforms hai unme hi uljhe raho. Kyunki aap jitna jyada ulajh kar rahoge utna hi unka fayda hoga aur woh paisa pe paisa banate jaayenge aur aap had se jyada dumb, bewakoof, aur garib hote rahoge. Yehi sachhai hai mere bhai.
Maa aur baap ke baiger aapko duniya mai koi bhi insaan uchaa dekhna nahi chahata. Aur maa baap se badhkar bhi aap khud ho kyunki maa baap apna Farz nibha denge fir bolenge aapko ki aap unka farz nibhaao. Bas aap kya kar rahe ho kaise kar rahe ho unko kuch nahi bas unko 3 times khana khilaado bas. Jyadatar maa baap ka yehi planning rehta hai aur woh apne khud ke aulaad ko bhi motivate nahi karte. Mai saare maa baap ko ungli nahi kar raha kuch gine chune maa baap hai jihne unke aulaad par thoda sa tarash bhi nahi hai woh khush rahe bas. Aise maa baap ki kabhi bhi itna bhi chinta mat karo jitna aap sochte ho. Khud par dhyan do bro paisa kamao ghumo,travel karo,enjoy karo, masti karo, chill karo. Kuch bache aise hai jo sirf paise ke pichhe pagal hai aur khud par dhyan dena bhi chhod dete hai. Aur unki life ko woh khud apni haathon se nark bana dete hai. Koi mazza nahi koi masti nahi kya ji rahe ho yaar life kya ghanta yaar bhailog ye india hai aur india ka environment aisa nahi hai ki aapko chaaro taraf se support mil sake. Mai aise bhaiyon aur behno ko salam thokunga jo aisa india jaise country mai bhi grow kar paaye hai mai government job ya private job's ki baat nahi kar raha yeh jobs toh har 90s ke mard ke paas hota hai. Mai samjhana chahata hu kuch alag karo yaar hatke, jaise Ritesh Agrawal ki tarah.
Comments
Post a Comment